Ek andhera lakh sitare,
Ek nirasha lakh sahare
Sabse badi saugaat hai jeevan,
Nadaan hai jo jeevan se hare
Duniya ki yeh bagiya aisi ,
Jitney kaante phool bhi utne
Daaman mai khud aa jayenge,
Jinki taraf tu haath pasaare
Beete huey kal ki khatir tu
Aane wala kal mat khona
Jaane kaun kahan se aaker,
Raahein teri fir se saanvare
Dukh se agar pahchan na ho tou, Kaisa such aur kaisi khushiyan Tufanon se hi tou ladker, Lagte hain sahil kitne pyare |
Ek andhera lakh sitare,
Ek nirasha lakh sahare
Sabse badi saugaat hai jeevan,
Nadaan hai jo jeevan se hare
|
No comments:
Post a Comment